Nikhat-e-zulf se niindo ko basaa de aakar
merii jaagii huii raato ko sulaa de aakar
[nikhat-e-zulf=fragnance of the hair]
kis qadar tiiraa-o-taariik hai duniyaa merii
jalvaa-e-husn kii ik shamaa jalaa de aakar
[taariik=dark]
ishq kii chaadanii raate mujhey yaad aatii hai
umr-e-raftaa ko merii mujhse milaa de aakar
[umr-e-raftaa=past life]
zauq-e-naadiid me lazzat to hai magar naaz nahii
aa mere ishq ko magaruur banaa de aakar
[zauq-e-naadiid=desire for not seeing]
[naaz=pride; magaruur=proud] |
Merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hai
likhaa hai ye Khat me ki hum aa rahe hai
Thahar jaa zaraa aur dard-e-furqat
hamaare tasavvur me vo aa rahe hai
[dard-e-furqat=sorrow of parting]
Gam-e-aaqabat hai na fikr-e-zamaanaa
piye jaa rahe hai jiye jaa rahe hai
[aaqabat=life after death]
nahii shikavaa-e-tashnagii mayakasho ko
vo aakho se maikhaane barasaa rahe hai
vo rashk-e-bahaar aanevaalaa hai "Akhtar"
kaval hasarato ke khile jaa rahe hai
[rashk=envy] |
Mastaanaa piye jaa yuu hii mastaanaa piye jaa
paimaanaa to kyaa chiiz hai maikhaanaa piye jaa
kar garq may-o-jaam Gam-e-gardish-e-ayyaam
ab ai dil-e-naakaam tuu maikhaanaa piye jaa
[garq=drown; Gam-e-gardish-e-ayyaam=sorrow of everyday life]
may-noshii ke aadaab se aagaah nahii tuu
jis tarah kahe saaqii-e-maikhaanaa piye jaa
[may-noshii=drinking; aadaab=ways/traditions/rituals]
[aagaah=acquainted with]
is bastii me hai vahashat-e-mastii hii se hastii
diivaanaa ban aur baadaa-e-diivaanaa piye jaa
maikhaane ke hagaame hai kuchh der ke mehamaa
hai subah qariib "Akhtar" divaanaa piye jaa |