Har Ek Janib Udasi Hai | M Atiq Ur Rehman
Har Ek Janib Udasi Hai | M Atiq Ur Rehman
Na jaane kya ye alam hai
Har ek janib udasi hai
Ke meri rooh sadiyon se
Faqat jannat ki pyasi hai
Maula maula maula maula
Maula maula maula maula
Meri ya rab tamanna hai
Mujhe jannat mein aana hai
Tale arsh-e-barin ek khoobsoorat
Ghar basana hai
MuhammadurRasoolUllah ko
Hamsaya banana hai
Sahaba aur shaheedon ko
Gale se jaa lagana hai
Na jaane kya ye alam hai
Har ek janib udasi hai
Ke meri rooh sadiyon se
Faqat jannat ki pyasi hai
Ye duniya ke haseen manzar
Mujhe har pal bulate hain
Gunahon ke wo saaye bhi
Har ek lamha daraate hain
Teri yaadon mein kho jaaun
To raste muskurate hain
Mere qadmon ko manzil ki
Taraf chalna sikhaate hain
Na jaane kya ye alam hai
Har ek janib udasi hai
Ke meri rooh sadiyon se
Faqat jannat ki pyasi hai
Main ab shaitan ke har
Raaste se door jaaunga
Ae maula ab tumhare
Raste pe laut aaunga
Wahi taskeen wo lutf-e-ibadat
Phir se paaunga
Yeh duniya ki har ek chahat
Mita kar muskuraaunga
Na jaane kya ye alam hai
Har ek janib udasi hai
Ke meri rooh sadiyon se
Faqat jannat ki pyasi hai
Bahar-e-jawidon mein
Muskurate phool kaliyon ki
Dhanak rangon ke aayenon
Haseen shabnam ke qatron ki
Mahakti in fizaon aur
Ghane unsab darakhton ki
Bani jo soch se baala
Usi jannat ko pana hai
Na jaane kya ye alam hai
Har ek janib udasi hai
Ke meri rooh sadiyon se
Faqat jannat ki pyasi hai
Main is duniya se beparwah
Ek majboor insan hun
Khizaon ki jo zad mein
Aa gya wo gulistan hun
Ae maula ek sahara hai
Tera jispar main nazan hun
Teri jannat ke chashmon ke
Liye harf-e-bayaban hun
Na jaane kya ye alam hai
Har ek janib udasi hai
Ke meri rooh sadiyon se
Faqat jannat ki pyasi hai