Tu Hi Malik Tu Hi Raziq | Najam Sheraz

Tu Hi Malik Tu Hi Raziq | Najam Sheraz

Tu Hi Malik Tu Hi Raziq | Najam Sheraz
: :

Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah

Daulat izzat shohrat
Pakar bhi na sukoon mila

Yun hi rahin bechainiyan
Aur karta raha sabse gila

Jab se kiya hai la ilah
Meri zindai ko sukoon mila

Jab andar bahar na ek ho
To insan kaise nek ho

Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah

Tu hi malik tu hi malik
Tu hi raziq tu hi raziq

Phir kisse maangun main bhala
Jab tu hi mera hai bhala

Duniya ke sare ye ilah
Jab kar na paye faisla

To dil pukare la ilah
Zuban pukare la ilah

Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah

Ghaffar hai sattar hai
Tu raheem hai tu kareem hai

Bakhshega kaun gunahon ko
Jab tu hi na tawwab ho

Main tere dar pe aaya hun
Apni khatayen laya hun

Kalmaat ko tere jaan kar
Sar ko jhukane aaya hun

Ab dil pukare la ilah
Zuban pukare la ilah

Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah

Duniya ki sari nematen
Mil jaye to kya fayda

Jab tu hi na ho razi
Sataye yaad-e-maazi

Teri mil jaye rahmaten
Aur phir aa jaye barkaten

Dil ko aa jaye chain phir
Sukoon mil jaye jaan ko

Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah

Tu hayyul qayyum hai
Tu aali-ul-ghayyub hai

Tera daur hai har daur me
Har daur hi tera daur hai

Jise mil gaya wohi khushnaseeb
Warna ek lambi daud hai

Phir zindagi farar hai
Aur dil bhi bekarar hai

Jab kah diya la ilah
To phir kaisa inkar hai

Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah

Mere sab gham mita de
Mujhe apna tu bana le

Teri rah pe aisa mai chalun
Raste se mai na phir hatun

Duniya ki sari mushkilen
Aasaan ho tere naam se

Sare bandhan aasaan hon
Bas ek tere kalam se

Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah