Sooni Sooni Dagar Ujda Ujda Chaman | Hafiz Abu Bakr

Sooni Sooni Dagar Ujda Ujda Chaman | Hafiz Abu Bakr

Sooni Sooni Dagar Ujda Ujda Chaman | Hafiz Abu Bakr
: :

Sooni sooni dagar ujda ujda chaman
Bin tere ye na mahkega mushk-e-khutan,

Toot kar jaise gir jayega ye gagan
Meri maa tu hai jannat me mast-o-magan

Kaise tujh ko kahun phir se aaja yahan
Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa

Sabr karta to hun sabr aata nahi
Samne teri soorat koi lata nahin

Tera paigham ab koi lata nahi
Dard dil haay re mera jata nahin

Kisko apni sunayenge ham dastan
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa

Mere walid ka ta-dere saya rahe
Unki chshmon inayat ka dariya bahe

Unki mehntat mushqqat se ham hain pale
Dil se khidmat karen unki ab bin kahe

Unki khidmat ka wada liya tune haan
Unki khidmat ka wada liya tune haan

Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa

Meri maa teri mamta pe qurban mai
Bhool jaaun na maula ka farman mai

Yaad kar kar ke ho jaun hairan mai
Tujh ko padh padh ke bakhshuga quran mai

Tera beta hai ahmed aur tu uski maa
Tera beta hai ahmed aur tu uski maa

Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa