Aap Ki Naaten Main Likh Likh | Anas Younus
Aap Ki Naaten Main Likh Likh | Anas Younus
Aap ki naaten main likh likh kar sunaaun aap ko
Kis tarah razi karun kaise manaun aap ko
Aap ko razi na kar paya to mar jaaunga main
Chhoti Chhoti kirchiyan ban kar bikhar jaaunga main
Zindagi ka is tarah mujhko maza kya ayega
Dil siyahi ke bhawar me doobta rah jayega
Wasta doon aapko main aap ke Hasnain ka
Yaar ghar-e-sour ka Siddiqa-e-konain ka
Aap to dushman ke haq me bhi dua karte rahe
Bewafa logon se bhi har dam wafa karte rahe
Aap to rahmat hi rahmat hain jahanon ke liye
Mere jaise be-amal or be-thikano ke liye
Aap ka hai roothna arz-o-sama ka roothna
Arsh ka sare jahano ke khuda ka roothna
Aap ki naataen main likh likh kar sunaaun aapko
Kis tarah razi karun kaise manaaun aap ko
Aap ki nazron se jo girta hai mar jata hai wo
Raakh ban kar apne qadmon me bikhar jata hai wo
Is tarah to aadmi khud aadmi rahta nahi
sahib-e-iman kya insan bhi rahta nahi
Kaise kaise dushmano par raham khaya aap ne
Aag se kitne hi logo ko bachaya aap ne
Apne jooton apne saye me bitha lijiye mujhe
Aap ka nacheez khadim hun dua dijiye mujhe
Zindagi ki tez lehron me na bah jaun kahin
Gird ban kar raste hi me na rah jaun kahin
Aap ko khatoon-e-jannat or Ali(r.a) ka wasta
Aap ko Farooq, usman ghani (r.a) ka wasta
Aap ki naatan main likh likh kar sunaaun aapko
Kis tarah razi karun kaise manaaun aap ko
Zindagi ko ek bahut mushkil safar darpesh hai
Ek mushkil imtehan baar-e-digar darpesh hai
Soch me dooba hua hoon, soch hi me qaid hoon
Bebasi ghere hue hai, bebasi me qaid hoon
Toot te jaate hain sare aasre jitne bhi hain
Be asar hain log sab chhote bare jitne bhi hain
Kis qadar kitna zaroori hai sahara aapka
Meri qismat hi badal dega ishara aap ka
Log aksar shayer-e-ashab kahte hain mujhe
Unki khatir roz shab betaab kahte hain mujhe
Be amal hoon maghfirat ka ek sahara hai zaroor
Aap ka har ek sahaabi jaan se pyara hai zaroor
Aap ki naaten main likh likh kar sunaaun aapko
Kis tarah razi karun kaise manaaun aap ko
Maine mukhtas kar li apni chashm-e-tar unke liye
Muztarib rahta hun hamesha sham-o-sahar unke liye
Main na sarmad hun na majnu hu na main mansoor hun
Unka shayar or unka banda-e-mazdoor hoon
Meri khwahish hai ke unki khoobiyan likhta rahun
Shouq se mai aasmaan ko aasmaan likhta rahun
Unki khatir aap mujh par meharbani kijiye
Mere hal-e-zaar par aaqa tawajjo dijiye
Aap se rishta ghulami ka sada qayam rahe
khuwajgi aur bandagi ki ye fiza qayam rahe
Mere sar par mushkilon ka aasmaan girne ko hai
Zarra-e-nacheez per koh-e-gira girne ko hai
Aap ki naaten mai likh likh kar sunaaun aap ko
Kis tarah razi karun kaise manaun aap ko
Ghup andhere me khara hoon ae hira ke aftab
Purza purza ho rahi hai meri khushiyon kitab
Mere haq me apne khaliq se dua farmaiye
Ae mere aaqa karam ki inteha farmaiye
Dekhte hain to mujhe be-aasra kahte hain log
Ahde mazi ki koi bhooli sada kahte hain log
Kis tarah rokoon mai is toofan aur sailaab ko
Zehen se kaise nikaloon khoufnak is khwab ko
Meri apni saans bhi ab to mere bas me nahin
Thak gai hai chalte chalte ab meri loh-e-jabeen
Dekh kar dushwar raahen zindagi ghabra gayi
Mere ghar tak aate aate roshni ghabra gayi
Sabz-e-gumbad ki taraf uthti hain nazren baar baar
Aap ki rahmat ko deta hai sada ye khaksaar
Khaliq-e-arzo-samaan se ab dua kijiye huzoor
Meharban ho jaye mujh aasi pe ab rabb-e-ghafoor
Meri himmat se zyada hai preshaani ka bojh
Main utha sakta nahin apne tan-e-faani ko bojh
Rah pe chalte hue ab dagmaga jata hun main
saans lene pr bhi ab to larkhara jata hun main
Lab hila dijiye meri khatir dua ke waste
Raham farma dijiye mujh par khuda ke waste
Aap ki naaten mai likh likh kar sunaaun aap ko
Kis tarah razi karun kaise manaun aap ko