Har Ek Shay Me | Hafiz Abdul Qadir
Har Ek Shay Me | Hafiz Abdul Qadir
Har ek shay me jhalak wo apni
Rububiyat ki dikha raha hai
Nizam is kayenat ka jo
Ba husn-e-khoobi chala raha hai
Kitab to uski padh ke dekho
Hai usko bandon se pyar kitna
Misal de de ke khair-o-shar ki
Wo apni janib bula raha hai
Har ek shay me jhalak wo apni
Rububiyat ki dikha raha hai
Nizam is kayenat ka jo
Ba husn-e-khoobi chala raha hai
Wo malik-e-rizq har nafas hai
Kisi ko rakhta nahin hai bhookha
Ameer ho ya ghareeb banda
Wo har kisi ko khila raha hai
Har ek shay me jhalak wo apni
Rububiyat ki dikha raha hai
Nizam is kayenat ka jo
Ba husn-e-khoobi chala raha hai
Jo wada Allah se kiya tha
Use to hamne bhula diya hai
Magar jo usne kiya tha hamse
Wo wada apna nibha raha hai
Har ek shay me jhalak wo apni
Rububiyat ki dikha raha hai
Nizam is kayenat ka jo
Ba husn-e-khoobi chala raha hai
Falah darain ki sada jo
Faza me har roz goonjti hai
Hai uska paigham hai suno to
Azan me kya suna raha hai
Har ek shay me jhalak wo apni
Rububiyat ki dikha raha hai
Nizam is kayenat ka jo
Ba husn-e-khoobi chala raha hai
Usi ko mano usi ko chaho
Ye kamyabi ki hai zamanat
Wo surkhuru hoga akhrat me
Jo usko dil me basa raha hai
Har ek shay me jhalak wo apni
Rububiyat ki dikha raha hai
Nizam is kayenat ka jo
Ba husn-e-khoobi chala raha hai
Shameem tauba ka waqt kam hai
Khatayen tum apni bakhshwalo
Bahut hai yaum-e-sangeen
Jo ke nazdeek aa raha hai
Har ek shay me jhalak wo apni
Rububiyat ki dikha raha hai
Nizam is kayenat ka jo
Ba husn-e-khoobi chala raha hai