Nabi (SAW) Ka Jo Lab Par Naam Aaya | Shaz Khan

Nabi (SAW) Ka Jo Lab Par Naam Aaya | Shaz Khan

Nabi (SAW) Ka Jo Lab Par Naam Aaya | Shaz Khan
: :

Nabi (saw) ka lab par
Jo zikr hai be-misal aaya kamal aaya

Jo hijr-e-taiba me
Yaad ban kar khyal aya kamal aya

Teri duaaon hi ki badault
Azab-e-rab se bache hue hain

Jo haq me ummat ke tere lab par
Sawal aaya kamal aya

Nabi (saw) ka lab par
Jo zikr hai be-misal aaya kamal aya

Ghuroor hooron ka tod dala
Laga ke mathe pe til khuda ne

Jo kale rang ka ghulam tera
Bilal (ra) aaya kamal aaya

Nabi (saw) ka lab par
Jo zikr hai be-misal aya kamal aya

Umar (ra) ki jurrat pe jaun qurban
The qaisar kisra bhi unse larzan

Umar (ra) ke aane se kufr par jo
Zawal aaya kamal aaya

Nabi (saw) ka lab par
Jo zikr hai be misal aaya kamal aaya

Nabi (saw) to saim sabhi hain ‘ala
Hain rutbe sabke azeem-o-bala

Magar jo akhir me Amna ka
Wo lal aaya kamal aaya