Sohbat Allah Walon Ki | Abdul Basit Hassani

Sohbat Allah Walon Ki | Abdul Basit Hassani

Sohbat Allah Walon Ki | Abdul Basit Hassani
: :

Sohbat Allah walon ki
Allah se milwa jati hai

Apna rang dikha jati hai
Sohbat Allah walon ki

Zulm-o-sitam ho dard ho gham ho
Ya koi ho ranj-o-alam

Sare taalluq rab se jodo
Kar dega wo nazren karm

Taar se taar mila jati hai
Sohbat Allah walon ki

Apna rang dikha jati hai
Sohbat Allah walon ki

Zikr-e-haq ki fikr-e-haq ki
Sacchhi lagan mil jati hai

Qalb ko Allah Allah Allah
Allah ki dhun mil jati hai

Maasiyat chhurwa jati hai
Sohbat Allah walon ki

Apna rang dikha jati hai
Sohbat Allah walon ki

Haq ke safeer hain ye
Badr-e-muneer hain ye

Raushan dimagh hain ye
Raushan zameer hain ye

Inki wafayen pyari
Inki adayen pyari

Inki sadayen pyari
Inki duayen pyari

Hain khushnaseeb log wo
Jinko naseeb ho

Sohbat Allah walon ki
Allah se milwa jati hai

Apna rang dikha jati hai
Sohbat Allah walon ki

Zindagi kya hai
Zindagi ka matlab

Sach sach samjh aa jata hai
Jab jab koi zanum-e-talammuz

Arshad aan dikhata hai
Zindagi bandagi bana jati hai

Sohbat Allah walon ki
Allah se milwa jati hai

Apna rang dikha jati hai
Sohbat Allah walon ki