Tamanna Muddaton Se Hai | Ehsaan Tahmid
Tamanna Muddaton Se Hai | Ehsaan Tahmid
Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhun
Imam-ul-Ambiya dekhun, Habeeb-e-Kibriya dekhun
Wo jinke dam qadam se subah ne bhi roshni payi
Munawwar kar diya jisne faza wo rahnuma dekhoon
Wo jinki barkato se abr-o-bara baste alam me
Tamanna qalb-e-muztar ki wo durr-e-be-bahaa dekhun
Qadam bahir Madina se tasawwur me Madina hai
Ilahi, ya Ilahi azmaton ki intiha dekhoon
Ye duniya besubaat-o-bewafa-o-gham ka gehwara,
Ye hai matloob dar-e-be-wafayee me wafa dekhoon
Wo mabdaa khalq-e-alam ka darood unpar salam unpar
Mere maula ye mauqa de ke khatm-ul-Ambiya dekhoon
Kabhi ho husn ke mehfil kabhi ho shoq ka manzar
Kabhi aansoo ki zanjeeron me aashiq ki sada dekhoon
Rasoolun Qasimul khairaati fiddunya wa fil uqba
Shafi’a qaz nafs-e-ma dar ma Nabi-e-Mujtaba dekhoon
Dar-e-jannat pe hazir hoon Rasool-e-Pak ke hamra
Shafa’at ka ye manzar ya khudaya me Raza dekhoon
Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoon
Imam-ul-Ambiya dekhoon, Habeeb-e-Kibriya dekhoon