Mere Aaqa | Syed Jawed Shah
Mere Aaqa | Syed Jawed Shah
Mere aaqa (saw) jaisa
Duniya mein haseen koi nahi
Aalam-e-hasti mein
Unsa bhi kahin koi nahi
Chehra-e-aaqa se alam
Ko mili hai roshni
Noor jo chhaane laga
Aisi jabeen koi nahin
Mere aaqa (saw) jaisa
Duniya mein haseen koi nahi
Aalam-e-hasti mein
Unsa bhi kahin koi nahi
Faiz se unke chaman ke
Phool bhi khilne lage
Chaar soo phaili hai khushboo
Amareen koi nahin
Mere aaqa (saw) jaisa
Duniya mein haseen koi nahi
Aalam-e-hasti mein
Unsa bhi kahin koi nahi
Chand bhi sharma gaya yun
Husn-e-aaqa dekh kar
Sarwar-e-dono jahan se
Behtari koi nahin
Mere aaqa (saw) jaisa
Duniya mein haseen koi nahi
Aalam-e-hasti mein
Unsa bhi kahin koi nahi
Husn-e-Yusuf dekh kar
Kaati jinhone ungliyan
Waste jiske kate tan
Nazni koi nahi
Mere aaqa (saw) jaisa
Duniya mein haseen koi nahi
Aalam-e-hasti mein
Unsa bhi kahin koi nahi
Yeh mera shabbir saqib
Kamil hi imaan hai
Kul jahan mein unse behtar
Bilyaqeen koi nahi
Mere aaqa (saw) jaisa
Duniya mein haseen koi nahi
Aalam-e-hasti mein
Unsa bhi kahin koi nahi