Alvida Mah-e-Ramzan | Usama Khan
Alvida Mah-e-Ramzan | Usama Khan
Alvida ramzan alvida ramzan
Alvida ramzan alvida ramzan
Aj momin chala momin tera mehman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Raunaqon ka hua khatm saman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Rooh parwar hai sehri ka manzar
Rooh afroz iftar ka manzar
Tujhme bakhsha gaya har musalman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Aaj momin chala momin tera mehman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Aaj huffaz bhi ghamzada hain
Muqtadi ke bhi aansu rawan hain
Chal diya chhor kar rab ka mehman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Mah-e-ramzan teri badaulat
Ham pe nazil thi Allah ki rahmat
Kis tarah chhor den tera daman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Aaj momin chala momin tera mehman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Ho fazilat bayan teri kyun kar
Teri aghosh mein lailatul qadr
Jisme utra tha ye rab ka quran
Alvida alvida mah-e-ramzan
Aaj momin chala momin tera mehman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Aaj bechain qalb-o-hazeen hain
Kisko yaaron kamil yaqeen hain
Phir mile na mile mah-e-furqan
Alvida alvida mah-e-ramzan
Aaj momin chala momin tera mehman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Kuchh bhi Allah na kar sake ham
Apni ghflat mein doobe rahe ham
Apni karni pe ham hain pasheman
Alvida alvida mah-e-ramzan
Aaj momin chala momin tera mehman
Alvida alvida mah-e-ramzan