Ham Faqeeron Ko Madine Ki Gali | Syed Fasihuddin Soharwardy

Ham Faqeeron Ko Madine Ki Gali | Syed Fasihuddin Soharwardy

Ham Faqeeron Ko Madine Ki Gali | Syed Fasihuddin Soharwardy
: :

Khusravi acchhi lagi na sarwari acchhi lagi
Ham faqeeron ko madine ki gali acchhi lagi

Door then to zindagi be-rang thi be kaif thi
Unke kooche me gaye to zindagi acchhi lagi

Main na jaaunga kahin bhi dar Nabi (saw) ka chhor kar
Mujh koo-e-Mustafa ki chaukdi acchhi lagi

Naaz kar tu ae Haleema sarwar-e-konain par
Gar lagi acchhi to teri jhonpdi acchhi lagi

Rakh diya sarkar ke qadmon pe sultanon ne sar
Sarwar-e-kaun-o-makan ki sadgi acchhi lagi

Mahr-o-mah ki roshni maana ke acchhi hai magar
Sabz gumbad ki mujhe to roshni acchhi lagi

Aaj mahfil me niyazi naat jo maine padhi
Aashiqan-e-Mustafa ko wo badi acchhi lagi

Khusravi acchhi lagi na sarwari acchhi lagi
Ham faqeeron ko madine ki gali acchhi lagi