Jhooth Mat Bolna | Mix Vocalist
Jhooth Mat Bolna | Mix Vocalist
Jhooth me halakat, Sacchhai me nejat hai
Jhooth bolne wale par Allah ki l’anat hai
Jhooth bolne wale se farishte door bhagte hain
Sacchhai insan ko nejat ‘Ata karti hai
Sachchai falah-o-kamyabi ki zamanat hai
Sacchhai momin ka sha’ar hai
Sacchhai ikhlaq-o-kirdar ki bulandi ka naam hai
Sacchhai sha’ar-e-ahsan hai, Sacchhai imaan se hai
Sacchhai imaan ka shoba ha
Sacchhai momin kas wazeera hai
Sach bolne wala Allah ka mahboob hai
Sacchh shafa’at-e-Rasool (saw) ka mustahaq hai
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Guftagu ke liye jab zuban ko kholna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Baat karne se pahle use tolna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Jhooth ki boo farishton ko karti hai door
Salb hota hai noor
Bab-e-anwaar rahmat ke yun kholna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Guftagu ke liye jab zuban ko kholna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Kis be-wajah halakat sach hai ye baat
Sidq me hai nejat
Ab sama’at me sach ke gohar rolna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Baat karne se pahle use tolna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Jis se Allah naraz ho jata hai
Chain kho jata hai
Aisa khatra na hargiz kabhi molna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Guftagu ke liye jab zuban ko kholna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Shan-e-kirdar momin ki jano agar
Meri mano agar
Zahar kanon me momin ke mat gholna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Baat karne se pahle use tolna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Kizb ko chhorne ka irada karo
Aaj wada karo
Jab kabhi bolna sirf sach bolna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Guftagu ke liye jab zuban ko kholna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Haan Asar Choon Poori ka ye sher hai
Jhooth andher hai
Bahr-e-zulmat me hargiz na tum dolna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna
Baat karne se pahle use tolna
Jhooth mat bolna, Jhooth mat bolna