Bekhud Kiye Dete Hain | Shahbaz Qamar Fareedi

Bekhud Kiye Dete Hain | Shahbaz Qamar Fareedi

Bekhud Kiye Dete Hain | Shahbaz Qamar Fareedi
: :

Bekhud kiye dete hain andaz hijabana
Aa dil me tujhe rakh lun ae jalwa-e-janana

Itna to karam karna ae chashm-e-kareemana
Jab jaan labon par ho tum saamne aa jana

Ji chahta hai tohfe me bhejun main unhen ankhe
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana

Main hosh-o-hawas apne is bat pe kho baitha
Has kar jo kaha tumne aaya mera deewana

Duniya me jab tune mujhe apna banaya hai
Mehshar me bhi keh dena ye hai mera deewana

Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi
Ab rukh ko chhupa baithe karke mujhe deewana

Peene ko to pee lunga par shart zara si hai
Aap saqi ho aur baghdad ka maikhana

Bekhud kiye dete hain andaz hijabana
Aa dil me tujhe rakh lun ae jalwa-e-janana