Main Hun Banda Tera | Hafiz Athar Jalali

Main Hun Banda Tera | Hafiz Athar Jalali

Main Hun Banda Tera | Hafiz Athar Jalali
: :

Main hun banda tera tu hai malik mera
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Jis ko chahe gada gar bana de
Jis ko chahe tu takht par bitha de

Tu hai malik yakta tujh sa koi kahan
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Main hun banda tera tu hai malik mera
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Dene wala tu hai mera Allah
Sunne wala tu hai mera Allah

Tu hai sab se aala tu hai sab se bala
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Tujhko koi yakta bhi na maane
Ye haqeeqat hai wo log jaane

Aag unki saza hogi roz-e-jaza
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Main hun banda tera tu hai malik mera
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Tune pani me machhli ko paala
Tune patthar se keeda nikala

Tu hai sab se bada tu hai sab se juda
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Koi maabood tera nahin hai
Tere mohtaj ya rab sabhi hain

Tu hai mushkil kusha tu hai hajat rawa
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Main hun banda tera tu hai malik mera
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Tere dar pe gadagar hun ghalib
Tera adna sa naghar hu ghalib

Mujh ko tu ya khuda seedhi raah chala
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali

Main hun banda tera tu hai malik mera
Ya ilahi tere dar pe khada hun sawali