Mai Palestine Hoon | Imran Pratapgarhi
Mai Palestine Hoon | Imran Pratapgarhi
Ye meri qaum ke hukmran bhi sunen
Meri ujdi hui dastan bhi sunen
Jo mujhe mulk tak maante hi nahi
Sari duniya ke wo rahnuman bhi sunen
Sirf lashen hi lashen meri god me
Koi poochhe mai kyun itna ghamgeen hun
Main palestine hun mai palestine hun
Aaye the ek din mere ghar aye the
Dushmanon ko bhi tanha nazar aye the
Oont per apna khadim bithaye huye
Meri is sarzameen per Umar (ra) aye the
Jiski parwaz hai asmanon talak
Zakhmi zakhmi mai wo ek shaheen hun
Main palestine hun mai palestine hun
Mere daman me iman palta raha
Ret per rab ka farman palta raha
Mere bachche lade aakhri saans tak
Aur seeno me quran palta raha
Zarre zarre me Allah hu akbar liye
Khushnasibi hai mai sahib-e-deen hun
Main palestine hun mai palestine hun
Na hi royenge aur na hi muskayenge
Sirf naghme shahadat ke hi gayenge
Apna bait-ul-muqaddas bachane ko to
Mere bachche ababeel ban jayenge
Jo sitam dha rahe abraha ki tarah
Unki khatir mai saaman-e-touheen hoon
Mai palestine hun mai palestine hun
Chaak daman rafu karke likhta hun main
Zakham se guftagu karke likhta hun main
Dard gaane ko bhi housla chahiye
Aansuon se wazu karke likhta hoon main
Apni saanson me aabad karke rakhna mujhe
Main rahun na rahun yaad rakhna mujhe