Naat Ke Andaz Ko | Khalid Mahmood
Naat Ke Andaz Ko | Khalid Mahmood
Naat ke andaz ko lafzon
Me dhalun to likhun
Qalb me Zaat-e-Mohammad (SAW)
Ko basa lun to likhun
Khak-e-taiba ko main palkon
Par saja lun to likhun
Dil se duniya ki mohabbat
Ko nikalun to likhun
Mushkilen hal ho gayin
Meri Nabi (SAW) ki zaat se
Kyun rahun ab main
Pareshan gardish-e-halat se
Maine paya hai khuda
Salle ‘Ala ki zaat se
Rooh me emaan ki shamma
Jala lun to likhun
Naat ke andaz ko lafzon
Me dhalun to likhun
Qalb me Zaat-e-Mohammad (SAW)
Ko basa lun to likhun
Khak-e-taiba ko main palkon
Par saja lun to likhun
Dil se duniya ki mohabbat
Ko nikalun to likhun
Aap ka Makkah Madina
Aur sara jahan hai
Aap hi ke dam se raushan
Aalam-e-islam hai
Aap rahmat aap shafqat
Aap dil ka sukoon hain
Aap ka mamnoon ban ke
Sar jhuka lun to likhun
Naat ke andaz ko lafzon
Me dhalun to likhun
Qalb me Zaat-e-Mohammad (SAW)
Ko basa lun to likhun
Khak-e-taiba ko main palkon
Par saja lun to likhun
Dil se duniya ki mohabbat
Ko nikalun to likhun
‘Alamon pe chha gayi hai
Paak rahmat aap ki
Khaliq-e-akbar ne ki
Hai farz ulfat aap ki
Naat ke andaz ko lafzon
Me dhalun to likhun
Qalb me Zaat-e-Mohammad (SAW)
Ko basa lun to likhun
Khak-e-taiba ko main palkon
Par saja lun to likhun
Dil se duniya ki mohabbat
Ko nikalun to likhun