Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai | Alhajj Syed Muhammad Rehan Raza Qadri

: :

Akhri umr hai kya raunaq-e-duniya dekhun
Ab to bas ek hi dhun hai ke madina dekhun

Jaliyan dekhun ke deewar-o-dar-o-baam haram
Apni mazoor nigahon se main kya kya dekhun
Ab to bas ek hi dhun hai ke madina dekhun

Main kahan hun ye samajh lun to uthaun nazren
Dil zara sambhle to main janib-e-khazra dekhun
Ab to bas ek hi dhun hai ke madina dekhun

Maine jin ankhon se dekha hai kabhi shahr-e-Nabi
Aur in ankhon in ankhon se ab kya koi jalwa dekhun
Ab to bas ek hi dhun hai ke madina dekhun

Mere maula meri ankhen mujhe wapas kar de
Take is baar main jee bhar ke madina dekhun
Ab to bas ek hi dhun hai ke madina dekhun

Kash iqbal yunhi umr basar ho meri
Subah kaabe me ho aur sham ko taiba dekhun