Khuda To Wo Hai | Asad Yaseen
Khuda To Wo Hai | Asad Yaseen
Samee’un, Baseerun, Aleemun Khabeer
Kareemun, Raheemun, Azeemun Jameel
Khuda to wo hai, Khuda to wo hai
Khuda to wo hai, Khuda to wo hai
Wahin jhukhega yeh sar hamara
Ke jiske dam se ye sab jahan hai
Jamal sare usi ka jalwa
Usi ke jalwon ka karwan hai
Jo din ke pardon pe shab bichha de
Jo raat ko phir sahar bana de
Gham-e-khizan ko bahar kar de
Shajar ko phir ba-samar bana de
Wo shakh-e-hasrat ghulab kar de
Mehak se phir lajawab kar de
Jo dil ke sahra ko sabz kar de
Jo ro padun to gohar bana de
Jo meri jaan ke qareeb tar hai
Nazar mein jiski mera guman hai
Wahin jhukhega yeh sar hamara
Ke jiske dam se ye sab jahan hai
Jamal sare usi ka jalwa
Usi ke jalwon ka karwan hai
Khuda to wo hai, Khuda to wo hai
Khuda to wo hai, Khuda to wo hai
Jo banke seeno mein zindagi ko
Jo sabz patti khila raha hai
Jo regisaaron ki dhoop mein bhi
Kai charinde jila raha hai
Hawa ki nusrat se yeh parinde
Ata-e-par se uda raha hai
Madar-e-gardish ki had banakar
Nizam-e-qudrat chala raha hai
Uga raha hai khila raha hai
Ke wo jahan ka wo mezbaan hai
Wahin jhukhega yeh sar hamara
Ke jiske dam se ye sab jahan hai
Jamal sare usi ka jalwa
Usi ke jalwon ka karwan hai
Tu hi khuda hai, Tu hi khuda hai
Tu hi khuda hai, Tu hi khuda hai
Yeh jalte bujhte, yeh jhilmilate
Qasam khuda ki khuda nahi hain
Yeh sarsarate, yeh timtimate
Qasam khuda ki khuda nahi hain
Urooj wale, zawal wale
Yeh neend wale, nidhaal wale
Gah-e-fana me yeh aate jaate
Qasam khuda ki khuda nahi hai
Khuda to wo hai, azal se jaari
Baqa hai jisko, wo ja-widan hai
Wahin jhukhega yeh sar hamara
Ke jiske dam se ye sab jahan hai
Jamal sare usi ka jalwa
Usi ke jalwon ka karwan hai
Samee’un, Baseerun, Aleemun Khabeer
Kareemun, Raheemun, Azeemun Jameel