Tera Karam Chahiye Uski Nazar Chahiye | Molana Muneer Ahmed
Tera Karam Chahiye Uski Nazar Chahiye | Molana Muneer Ahmed
Dil me basera rahe ankhon me thahra rahe
Khwabon me khyalon me bhi mahboob mera rahe
Bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye
Wo tajdar-e-haram bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye
Daulat hukoomat zameen jo hai yahan ya kahin
Mujhko nahin chahiye jo bhi hai bartar haseen
Mujhko to maula mera jan-o-jigar chahiye
Wo tajdar-e-haram bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye
Hooron kusoor-e-jahan range aur noor-e-zaman
Meri nigah ko bhale lagte nahin hain yahan
Wo naqsh-e-paa-e-Nabi (saw) wo rahguzar chahiye
Wo tajdar-e-haram bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye
Ye jo phire hain bade dair-o-haram me khade
Zauq-e-nazar me mere ek silsile ke kade
Jo raat bhar ho dukhi wo rahbar chahiye
Wo tajdar-e-haram bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye
Nale mere be-asar fariyad hai be-samar
Bekar hai iltija shikwe bhi ae dil na kar
Lafzon me apne mujhe maula asar chahiye
Wo tajdar-e-haram bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye
Mitti ka putla sahi rutba bhi nichla sahi
Ujla hai zauq-e-nazar zoron se kuchla sahi
Khooba se khoob hai wo khoobtar chahiye
Wo tajdar-e-haram bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye
Dil me basera rahe ankhon me thahra rahe
Khwabon khyalon me bhi mahboob mera rahe
Kuchh is tarah ka khuda guzar basar chahiye
Wo tajdar-e-haram bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye
Sonda madina jo hai haq ka safeena jo hai
Sharf-e-azeemi ka wo pahla qareena jo hai
Jeewan to jaisa bhi tha marna udhar chahiye
Wo tajdar-e-haram bas uska dar chahiye
Tera karam chahiye uski nazar chahiye