Nabi Ke Shehar Mein Jaaun | Hafiz Abdur Razzaq

Nabi Ke Shehar Mein Jaaun | Hafiz Abdur Razzaq

Nabi Ke Shehar Mein Jaaun | Hafiz Abdur Razzaq
: :

Nabi ke shehar mein jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Na wapas mud ke main aaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Nabi ka naam likhta hun
To aab-e-zar se likhta hun

Deewana unka kahlaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Nabi ke shehar mein jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Na wapas mud ke main aaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Ziyarat roza-e-aqdas ki
Khwabon mein hi karta hun

Haqeeqat mein wahan jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Nabi ke shehar mein jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Na wapas mud ke main aaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Tamanna hai yahi dil mein
Nabi ke roza-e-athar par

Main haal-e-dil suna aaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Nabi ke shehar mein jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Na wapas mud ke main aaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Tasawwur mein madina hai
Nazar mein bhi madina hai

Khyaalon mein hi kho jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Nabi ke shehar mein jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Na wapas mud ke main aaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Nabi ke shehar ki galiyan
Bahot pakizah hoti hain

Main ghalib usmein kho jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Nabi ke shehar mein jaaun
Sukoon-e-qalb mein paaun

Na wapas mud ke main aaun
Sukoon-e-qalb mein paaun