Hamare Dilon Ki Nida Hai Umar (ra) | Hafiz Salahuddin Al-Maroofi
Hamare Dilon Ki Nida Hai Umar (ra) | Hafiz Salahuddin Al-Maroofi
Amir-ul-mumineen khalifat-ul-muslimeen
Qaulan Nabiyu Sallallahu ‘Alaihi Wasallam
Hamare dilon ki nida hai Umar (ra)
Nabi (saw) ki tamanna sada hai Umar
Agar koi poochhe ke kya hai Umar
To kehna Nabi ki dua hai Umar
Nabi ki tamanna sada hai Umar
Hamare dilon ki nida hai Umar
Fazail ka wo hai chamakta falak
Dua-e-payamber ki hai wo jhalak
Wo ‘ilm-o-‘amal ka azeeb imtizaj
Faqiri me jisne kiya sab pe raaj
Na bhoole hain unko na bhoolenge ham
Hamare dilon me basa hai Umar
Nabi ki tamanna sada hai Umar
Hamare dilon ki nida hai Umar
Wo deen-e-Mohammad ke hain tarjuman
Umar mera dil aur Umar meri jaan
Khilafat wilayat unhin ko mili
Basharat-e-jannat unhin ko mili
Bayan kya karun main maqam-e-Umar
Haqeeqat me haq ki sada hai Umar
Nabi ki tamanna sada hai Umar
Hamare dilon ki nida hai Umar
Musalman jab huye Umar bin Khttab
To Makke me khul gayi haq ki kitab
Musalman sar-e-aam aane lage
Ke naam-e-Khuda gungunane lege
Kalam-e-Umar hai kalam-e-Khuda
Hamare liye rahnuma hai Umar
Nabi ki tamanna sada hai Umar
Hamare dilon ki nida hai Umar
Wo duniya me sacchhe hukmaran then
Siyasat adalat me kamran then
Agar ho kahin par nizam-e-Umar
Wahan par nahin hoga zolm-o-jabar
Nabi ke mohafiz Nabi ka susar
Andheron me raushan ziya hai Umar
Nabi ki tamanna sada hai Umar
Hamare dilon ki nida hai Umar
Nabi ke sahaba hain rahat-e-jaan
Umar gulshan-e-deen ka hai baghbaan
Jhuke na ruke kabhi maidan me
Ke zikr-e-Umar dekho quran me
Main ghalib unhin ka hun adna ghulam
Mera rahnuma peshwar hai Umar
Nabi ki tamanna sada hai Umar
Hamare dilon ki nida hai Umar
Gali nagar nagar Umar Umar
Mera lahu mera jigar Umar Umar (RA)