Mere Maula Tera Saani | Fahad Shah
Mere Maula Tera Saani | Fahad Shah
Mera maula tera saani nahin sare zamane me
Tu hi hai Qadir-e-Mutlaq sada is karkhane me
Na tujh ko oongh aati hai, na tujh ko neend aati hai
Hai phir bhi marzi teri saari duniya ko sulane me
Sabhi sote se uthte hi teri tasbeeh karte hain
Ye kaisi pur-asar dawat moazin ke jagane me
Teri hamd-o-sana karte hain tayer apni boli me
Ke tu hi tu ke gun gate hain ye sab chah chahchahane me
Suleman ko jahan per tune baadshahi di hai
Tu hi tha uske aali takht ko upar udane me
Hain karte raat din teri baghawat ye tere bande
Laga hai phir bhi tu sabko jahannum se chhurane me
Khudaya maaf kar de tu fahad ki bhi khatayen sab
Ke tera haq ada na ker saka wo is tarane me
Mere maula tera saani nahin sare zamane me
Tu hi hai Qadir-e-Mutlaq sada is karkhane me