Mere Aaqa | Hafiz Ahmed Raza Qadri

Mere Aaqa | Hafiz Ahmed Raza Qadri

Mere Aaqa | Hafiz Ahmed Raza Qadri
: :

Ek baar hi dikhado aaqa (saw) mujhe madeena
Beshak banalo aaqa mehman do ghadi ka

Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye
Tarasti hain meri ankhen mujhe rauza dikha dijiye

Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye
Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye

Mehakti hai wo rahen jinse aaqa aap hain guzre
Mujhe bhi un gali koochon me rahne ki jagah dijiye

Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye
Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye

Ladi saanson ki ye aaqa na jaane kab bikhar jaye
Bula lijiye madeene aur qadmon me basa lijiye

Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye
Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye

Dukhon ne gher rakha hai ghamon ki dhoop hai sar par
Thikana gumbad-e-khazra ke saaye me ata kijiye

Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye
Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye

Mawaja samne ho jis ghadi ye dam nikal jaye
Baqiye paak hi aaqa mera madfan bana dijiye

Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye
Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye

Aqeedat se bina naalain jis dar sayyadah (ra) aayi
Mujhe bhi sayyidu shohda ki wo choukhat dikha dijiye

Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye
Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye

Kabhi main jaliyan thamun basa kar panjtan dil me
Ali (ra) aur Fatima Hasnain (ra) ka sadqah ata kijiye

Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye
Mere aaqa madeene me mujhe bhi ab bula lijiye

Sitaron kahakashaon se madeene ki ghubar acchhi
Moyassar ho agar qatib to aankhon se laga lijiye