Ilahi Teri Chaukhat Par | Aqib Farid
Ilahi Teri Chaukhat Par | Aqib Farid
Ilahi teri chaukhat par
Bhikari banke aya hun
Sarapa faqr hun
Ijz-o-nadamat sath laya hun
Bhikari wo ke jiske paas
Jholi hai na pyala hai
Bhikari wo jiske hirs-o-hawas
Ne maar dala hai
Mataa-e-deen-o-danish
Nafs ke hathon se lutwa kar
Sukun-e-qalb ki
Daulat hawas ki bhent charha kar
Luta kar sari poonji
Ghaflat-o-isiya ki daldal me
Sahara lene aya hun
Tere kaabe ke aanchal me
Gunahon ki lipat se
Qayenat-e-qalb afsurda
Irade muzmahil himmat
Shikasta housle murda
Kahan se laaun taqat
Dil ki sacchhi tarjumani ki
Ke kis jhanjhal me guzri hain
Ghadiyan zindgani ki
Khulasa ye ke bas
Jal bhun ke apni ruh siyahi se
Sarapa faqr ban kar apni
Halat ki tabahi se
Tere darbar me laya hun
Apni ab zaboon hali
Teri chaukhat ke layaq
Har amal se hath hai khali
Ye tera dar hai tere mehar
Ka darbar hai maula
Sarapa noor hai
Ek muhabbat-e-anwar hai maula
Teri chaukhat ke jo aadab hain
Main unse khali hun
Nahin jisko saliqa mangne ka
Wo sawali hun
Zuban gharq-e-nadamat dil ki
Nakas tarjumani par
Khudaya raham meri is
Zaban-e-bezubani par
Ye ankhen khushk hain
Ya rab inhen rona nahin aata
Sulagte dagh hain
Dil me jinhen dhona nahin aata
Ilahi teri chaukhat par
Bhikari banke aaya hun