Taiba Ke Jalwe | Hafiz Abdur Raziq
Taiba Ke Jalwe | Hafiz Abdur Raziq
Nigahon me baste hain taiba ke jalwe
Tasawwur me rahti hai rauze ki jali
Dikhati hai batha ki galiyon ke manzar
Mujhe raat din meri raushan khyali
Koi dil hasinan-e-duniya ka talib
Kisi dil me hoor aur ghilma ki chahat
Mere dil ka waasi madeene ka wali
Mere dil ki duniya hai sabse nirali
Nigahon me baste hain taiba ke jalwe
Tasawwur me rahti hai rauze ki jali
Dikhati hai batha ki galiyon ke manzar
Mujhe raat din meri raushan khayali
Yaqeenan hai dil se lagane ke qabil
Wo dil jisme ho arzoo-e-madeena
Wo ankhen bhi choom hain lene ke qabil
Jin ankhon ne dekha wo darbar-e-aali
Nigahon me baste hain taiba ke jalwe
Tasawwur me rahti hai rauze ki jali
Dikhati hai batha ki galiyon ke manzar
Mujhe raat din meri raushan khayali
Ye meri nigahon ki waraftagi hai
Ke jazbe mohabbat ka dil par asar hai
Jahan naam aaya Mohammad (saw) ka atish
Wahin maine chashm-e-aqeedat jhukai