Mera Nabi | Hafiz Salahuddin Al-Maroofi

Mera Nabi | Hafiz Salahuddin Al-Maroofi

Mera Nabi | Hafiz Salahuddin Al-Maroofi
: :

Wa ahsanal minka lam tara qattu ‘aini
Wa ajmala minka lam talidin nisaau

Khuliqta mubarra am min kulli ‘aibin
ka annaka qad khuliqta kama tashaau

Mera Nabi, Mera Nabi
Mera Nabi, Mera Nabi

Wallail zulfen aankhen chamaktin
Aala nazar to baaten mehaktin

Rukh tera aala shams-ud-duha hai
Chehra tera kya badr-ud-duja hai

Mera Nabi, Mera Nabi
Mera Nabi, Mera Nabi

Sathi tere hain raushan jabeen hain
Saani na unke milte kahin hain

Seerat teri to noor-ul-huda hai
Qasmen teri khud Rab kha raha hai

Mera Nabi, Mera Nabi
Mera Nabi, Mera Nabi

Tujh par to nazan to hoor-o-malak hain
Ye chand sooraj tare falak hain

Aur husn-e-gulshan tujh par fida hai
Azmat pe teri quran likha hai

Mera Nabi, Mera Nabi
Mera Nabi, Mera Nabi

Sadqe se tere jeevan mila hai
Tere liye hi alam basa hai

Yasrab dikha de ye hi dua hai
Shaheen har din ye mangta hai

Mera Nabi, Mera Nabi
Mera Nabi, Mera Nabi