Khuda Mujhse Maa Ki Mohabbat Na Chheene | Imran Pratapgarhi
Khuda Mujhse Maa Ki Mohabbat Na Chheene | Imran Pratapgarhi
Khuda mujhse maa ki mohabbat na chheene
Agar chheenna hai jahan chheen le wo
Zameen chheen le asmaan chheen le wo
Mere sar ki bas ek ye chhat na chheene
Khuda mujhse maa ki muhabbat na chheene
Ke agar maa na hoti zameen par na aata
Jo aanchal na hota kahan sar chhupata
Mera laal kah kar bulati hai mujh ko
Ke khud bhookhi rah kar khilati hai mujh ko
Ye daman mera chahe nam karde jitna
Wo bas aaj mujh par karam kar de itna
Jo mujh par hui hai inayat na cheene
Khuda mujhse maa ki muhabbat na chheene
Mujhe pala posa bada kar diya hai
Ke pairon pe apne khada kar diya hai
Kabhi jab andheron ne mujh ko sataya
To maa ki dua ne hi rasta dikhaya
In honthon ki mere hansi cheen le wo
Ke ghum de de har ek khushi chheen le wo
Ye hi ek bas mujh se daulat na chheene
Khuda mujhse maa ki muhabbat na chheene
Ke agar maa ka sar par nahin hath hoga
To phir kaun hai jo mere sath hoga
Kahan muh chhupa kar ke roya karunga
To phir kis ki godi me soya karunga
Mere samne maa ki jaan chheen kar ke
Meri khushnuma dastan chheen kar ke
Mera josh aur meri himmat na chheene
Khuda mujhse maa ki muhabbat na chheene