Ae Naujawan | Mix Vocalist
Ae Naujawan | Mix Vocalist
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Zara soch tu kis ka hai ye jahan
Rab ki hai zameen rab ka aasman
Ye chand sitare ye kehkashan
Allah ka sunte hain farman
Sarkash hai bada lekin insan
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Hain Rasool-e-khuda tere rahbar
Uswa-o-namoona sar ta sar
Wo shafi-e-ummat roz-e-hashar
Jab tujhse milenge kausar par
Ho jayen na wo tujh se nalaan
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Sun le mere bhai zara sun le
Allah ko pahle khush kar le
Duniya me na tera dil bahle
Uqba ke liye tosha le le
Jannat ka banega tu mehman
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Uth bandh kamar raftar badal
Guftar badal kirdar badal
Kirdar bana duniya ko badal
Is duniya ke insan ko badal
Ho jayega khush tujh se Rahman
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Ye duniya haq ki pyasi hai
Lekin ehsas se aari hai
Iblees ki sab makkari hai
Maloon ki chal karari hai
Shaitan se jang ka kar elaan
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Bil akhiri shaitan harega
Haq aayega haq aayega
Har simt ek noor sa chhayega
Allah rahmat barsayega
Tere hathon hoga ye faizan
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Jis culture par tu marta hai
Jis fashion ko apnata hai
Jin addon par tu jata hai
Jis uriyani se nata hai
Tauba kar le sab se nadan
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Ye film aur ye filmi gane
Tum jinke bane ho deewane
Ye naach nasha aur maikhane
Shaitan ke hain ye sab dane
Tumko bahlane phuslane aur
Apne jaal me phaswane
Phir tumko khuda se bhatkane
Quran-o-hadees se bahkane
Jannat se tumko nikalwane
Insan se shaitan banwane
Shaitan na ban tu ban insan
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Aa laut chalen ab rab ki taraf
Zoron se bajayen deen ka daf
Manzil hai apni aur hadaf
Duniya me bhi tere saq ke sadaf
Rasaiyon ka bhi hai yehi arman
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan
Ae mere khuda ae mere khuda
Sun meri dua ye meri dua
Ummat ko gumrahi se bacha
Insan ko seedhi rah dikha
Kar sare jawano ka tu bhala
Aur unko kar kirdar ata
Tu Raheem bahot hai bada Rahman
Ae naujawan ae mere naujawan
Teri manzil kahan aur tu gum kahan
Tu chala hai kahan kho gaya hai kahan
Manzil hai yahan manzil hai yahan