Madina Yaad Aata Hai | Maulana Imtiyaz Sidat

Madina Yaad Aata Hai | Maulana Imtiyaz Sidat

Madina Yaad Aata Hai | Maulana Imtiyaz Sidat
: :

Madina yaad aata hai, Wo gumbad yaad aata hai
Agar taiba ko jaoge, To aana bhool jaoge

Hazaron dil tadapte hain madine ke liye har dam
Bula lo na hame taiba, Tadapna bhool jaoge
Agar taiba ko jaoge, To aana bhool jaoge

Na itrao zyada chand taron apni rangat pe
Jab rouze ko dekhoge, Chamakna bhool jaoge
Agar taiba ko jaoge, To aana bhool jaoge

Hadeesen Mustafa (saw) par tum Jo ho jao amal pairan
Qasam Allah ki maa ko satana bhool jaoge
Agar taiba ko jaoge, To aana bhool jaoge

Agar tum ghaur se Quran ke alfaz sun loge
Agar tum ghaur se mere Nabi ki naat sun loge

Mera daawa hai tum gana bajana bhool jaoge
Agar taiba ko jaoge to aana bhool jaoge
Madina yaad aata hai wo gumbad yaad aata hai