Khuda Wanda Tera Banda | Khalid Mahmood
Khuda Wanda Tera Banda | Khalid Mahmood
Bichhda kuchh is ada se ke rut hi badal gayi
Wo ek shakhs sare shahar ko veeran kar gaya
Khuda wanda tera banda wo duniya chhor aya hun
Badan se rooh aur saanson ke rishte tod aya hun
Teri duniya me jab maine adhoori aankh kholi thi
Kahin sargam kahin rangeeniyon ki ek holi thi
Unhin kale ujalon me sarapa kho gaya tha main
Ke apne aap ki nazron se ojhal ho gaya tha main
Teri taufiq se ya rab jab apna aap pahchana
Hawa-e-nafs ko chhora tere ehkam ko maana
Wo sargam chhor kar sare tere quran ko thama
Sahe nishtar bahut maine utha phir ek hangama
Kabhi tankeed ko jhela kabhi taanon ko jhela hai
Khahin par talkhiyon aur turshrar lajon ko jhela hai
Bil akhir saans ki dori hui jab khatm ae maula
Hawa ke hath tere deen ka paigham de aaya
Khuda wanda tera banda wo duniya chhor aya hun
Badan se rooh aur saanson ke rishte tod aya hun