Ya Rabbana Irhamlana | Hafiz Bilal Qadri

: :

Ya Allah Ya Allah Ya Allah Ya Allah
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Tere ghar ke phere lagata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Haram me main hazir hua banke mujrim
Ye labbaik nara lagata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Main leta rahun bosa-e-sang-e-aswad
Yun dil ki siyahi mitata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Ilahi main phirta rahun gird-e-kaba
Yun qismat ki gardish mitata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Lipat kar gale lag ke main multazam se
Gunahon ke dhabbe mitata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana;

Ibraheem ke naqsh-e-paa choom kar main
Nigahon se dil me basata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Hateem-e-haram me namazon ko padh kar
Tere dar par dukhde sunata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Main peeta rahun har gadi aab-e-zamzam
Lagi apne dil ki bujhata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Safa aur marwa ke mabain daudun
Sa’i karke tujh ko manata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Jhuki jinke sajde ko mehrab-e-kaba
Wahin dil adab se jhukata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Barasti hai baran-e-rahmat haram me
To meezab-e-zar se nahata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Muzdalifah me waqt-e-sahar muskura kar
Ye sunnat Nabi (saw) ki batata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Rami kar ke jab rat ki main mina me
Tere dushmanon ko mitata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Tu shar se panah de muqaddar ho aisa
Ke bas khair hi khair pata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Sanad hajj-e-mabroor ki lene hazir
Mohammad (saw) ki chaukhat pe jata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Ho maqbool haj hazri daymi me
Pas-e-hajj madine ko jata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Ilahi tu aesa muqaddar ata kar
Hamesha hi taiba main aata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Ilahi tu qismat de saur-e-hira ki
Ke is dil me Aaqa (saw) ko pata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Hai sayyad ki khwahish madine me mar kar
Hamesha ki jannat ko pata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana

Tere ghar ke phere lagata rahun main
Sada shahr-e-makkah me aata rahun main

Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya rabbana irhamlana, Ya rabbana irhamlana
Ya Allah ya Allah Ya Allah