Hashr Me Phir Milenge | Muzaffar Raza
Hashr Me Phir Milenge | Muzaffar Raza
Hashr me phir milenge mere doston
Bas yahi hai maqam akhri akhri
Kahna sab jeete ji ke hain shikwe gile
Aaj se khatm duniya ke sab silsile
Shamma dhalne ko hai dam nikalne ko hai
Ab hai qissa tamam akhri akhri
Mujhko nahla ke pahna diye hain kafan
Ro chuke milke maa baap bhai bahan
Maut bhi doston aaj hairat me hai
Ab hai qissa tamam akhri akhri
Khushbuon me kafan ko basane lage
Meri mayyat ko dulhan banane lage
Khushbuon me kafan ko basane lage
Meri mayyat ko dulhan banane lage
Doston ab uthao janazah mera
Ho chuka intezam akhri akhri
Mujhko zer-e-zameen yaar dafna gaye
Kis qadar sang-dil ho ke farma gaye
Mujhko zer-e-zameen yar dafna gaye
Kis qadar sangdil ho ke farma gaye
Doston chain ki neend sote raho
Bas yahi hai maqam akhri akhri
Huye naamwar be-nishan kaise kaise
Zameen kha gayi naujawan kaise kaise
Duniya bani hai jab se laakhon caror aaye
Baqi raha na koi mitti me sab samaye
Ye alishan bangle kuchh kaam ke nahin hain
Makhmal pe sone walon mitti pe so rahe hain
Shah-o-gada wahan sab ek ho rahe hain
Dono suye baraber ye maut ka asar hai
Kaisi duniya hai murshid ghazab re ghazab
Chand dinon me yahan bhool jate hain sab
Jis bahane meri yaad aa jaye to
padh lena ye kalam akhri akhri
Zindagi ne jahan tak wafa ki rahi
Chal diye ab salam akhri akhri
Hashr me phir milenge mere doston
Hashr me phir milenge mere doston