Maine Tumhe Dekha Hai | Hafiz Abdul Qadir
Maine Tumhe Dekha Hai | Hafiz Abdul Qadir
Allah Allah Allah Allah
La ilaha illallah Mohammadur Rasulullah (saw)
Allah Allah Allah Allah Allah
M’abood hai maqsood hai matloob hai Allah
Shah rag se bhi qareeb hai maujood hai Allah
Buzrug hai wa’ala hai wahi qadeem hai Allah
Raheem hai Rahman hai ‘Azeem hai Allah
La maujooda illallah la matlooba illallah
La maqsooda illallah la m’abooda illallah
Wo la mahdood hai wo la zawal hai
Ye ulfaten ye midhaten Allah ke liye
Wo qadir-e-mutlaq hai wo mukhtar kul bhi hai
Hazir bhi wo nazir bhi wo ‘Aleem hai Allah
La ilaha illallah Mohammadur Rasoolullah
Ye zindagi meri Allah ki ‘ata
Ye chahaten ye hikmaten Allah ke liye
Mushkil kusha bhi hai wahi hajat rawan bhi hai
Kabeer hai Khabeer hai ‘Aleem hai Allah
Allah Allah Allah Allah Allah
Quran ke siparon me ahsan ke isharon me
Imaan ke sanwaron me masoom payaron me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Siddiq (ra) ki shafqat me Farooq (ra) ki sadwat me
Usaman (ra) ‘iffat me Karnar haibat me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Masoor duaon me manshoor sanaon me
Mamoon hawaon me mashoor fizaon me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Har qatr-e-bara me har zarra-e-kaba me
Har barg-e-gulistan me har roo-e-darakhshan me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Gulzar me kharon me kohsaron me gharon me
Gumbad me minaron me khalwat me hazaron me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Mahfil ke charaghon me angoor ke baghon me
Sarshar dimaghon me har qalb ke daghon me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Har lahn hijazi me har naqsh mijazi me
Har husn tarazi me har ishq nawazi me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Dil doz-e-nigahon me dil soz karahon me
Betab kabahon me mahjoor ki aahon me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Sehra ke ghazalon me dariya ke uchhalon me
Batha ke niralon me taiba ke ujalon me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
Ahmed ki riwayat me malik ki dirayat me
Sufiya ki sakhawat me nauma ki faqahat me
Maine tumhe dekha hai, Maine tumhe dekha hai
La ilaha illallah Mohammadur Rasulullah
La ilaha illallah Mohammadur Rasulullah
Main banda-e-‘ajiz hun wo malik-e-behtar
Ye wus’aten ye rif’aten Allah ke liye
Wo sab dilon ke raz se waqif hai har ghadi
Basheer hai Nazeer hai ‘Aleem hai Allah
La maujooda illallah la matlooba illallah
La maqsooda illallah la m’abooda illallah
Ghalim azizullah ek adna sana khawan
Hafiz Abdul Qadir ek adna sana khawan
Sab rangaten mohabbaten Allah ke liye
Wo sab se behtar hai wo jis ka sani nahin hai
Khabib hai Raqeeb hai Raheem hai Allah
Allah Allah Allah Allah Allah
La ilaha illallah Mohammadur Rasulullah (saw)
La ilaha illallah Mohammadur Rasulullah (saw)