Dar-e-Pak | Abdul Basit Hassani
Dar-e-Pak | Abdul Basit Hassani
Dar-e-paak maula mujhe bhi dikha de
Madine ke raste ka rahi bana de
Dikha de wo anwar-e-roza-e-athar
Kahun haal-e-dil unki chaukhat pe jakar
Tamanna-e-dil ki mere sab mita de
Dar-e-paak maula mujhe bhi dikha de
Madine ke raste ka rahi bana de
Wo shah-e-do alam hain main janta hun
Siyahkar hun ye bhi main manta hun
Siyahkariyon ki na mujhko saza de
Dar-e-paak maula mujhe bhi dikha de
Madine ke raste ka rahi bana de
Ye nisbat mere dil ko sharmindagi hai
Khabar hai mujhe jo meri bandagi hai
Ise unke irfa ka zeena bana de
Dar-e-paak maula mujhe bhi dikha de
Madine ke raste ka rahi bana de
Meri zaat me inqilab aye aesa
Siwa unke kuchh mere dil ko na bhaye
Tamanna ke anwar se jagmaga de
Dar-e-paak maula mujhe bhi dikha de
Madine ke raste ka rahi bana de