Main Ek Shab So Gaya Ghar Par | Mufti Kausar Roohani
Main Ek Shab So Gaya Ghar Par | Mufti Kausar Roohani
Salle ‘Ala Nabiyena
Salle ‘Ala Mohammadin
Main ek shab so gaya ghar par
Darood-e-paak padh padh kar
To pahuncha Mustafa (saw) ke paas
Darood-e-paak padh padh kar
Darood un par salam un par
Darood un par salam un par
Dar-e-zeeshan aisa tha
Ke asman jaisa tha
Sahaba then sitare aur
Mohammad chand jaisa tha
Fida main ho gaya unpar
Darood-e-pak padh padh kar
Darood un par salam un par
Darood un par salam un par
Salle ‘Ala Nabiyena
Salle ‘Ala Mohammadin
Saji thin mahfil-e-anwar
Badi thi raunaq-e-membar
Abu Bakr-o-Umar (ra) bhi then
Barabar Usman-o-Haidar (ra)
Bhula na paaun wo manzar
Darood-e-paak padh padh kar
Darood un par salam un par
Darood un par salam un par
Salle ‘Ala Nabiyena
Salle ‘Ala Mohammadin
Tha jari khutba Aaqa ka
Suroor-o-kaif ka naksha tha
Bade hi ba-adab then sab
Tha kya hi rutba Aaqa ka
Achanak mil gayi nazar
Darood-e-paak padh padh kar
Darood un par salam un par
Darood un par salam un par
Nigahon me kashish aisi
Na dekhi hai ravish aisi
Dhadakta hi raha ye dil
Hawason me jumbish aisi
Hui nazr-e-karam mujhpar
Darood-e-paak padh padh kar
Darood un par salam un par
Darood un par salam un par
Salle ‘Ala Nabiyena
Salle ‘Ala Mohammadin
Main dil ko thamta kaise
Aur unka saamna kaise
Ye jism-o-jaan wajad me the
Liya jo naam tha aise
Hua hazir main gir-pad kar
Darood-e-paak padh padh kar
Darood un par salam un par
Darood un par salam un par
Salle ‘Ala Nabiyena
Salle ‘Ala Mohammadin
Sahara de ke Aaqa ne
Lagaya mujhko seene se
Sarayat kar gaye mujh me
Ruhuzab sare jeene ke
Karun main rashk qismat par
Darood-e-paak padh padh kar
Darood un par salam un par
Darood un par salam un par
Na poora khwab ye hota
Adhura baab ye hota
Ye shab ae kash tham jati
To dil sairab ye hota
Roohani sochta aksar
Darood-e-paak padh padh kar
Darood un par salam un par
Darood un par salam un par
Salle ‘Ala Nabiyena
Salle ‘Ala Mohammadin