Rahen Bhatakne Wale | Najam Sheraz
Rahen Bhatakne Wale | Najam Sheraz
Wama arsalnaka illa rehmatallil alameen
Rab ne socha ke ahle zameen par
Kar de rahmat ghamon se bacha le
Tod de but insan ke sare
Take shaitan se usko bachale
Rahen bhatakne wale sun la ilah ke ujale
Dil ka diya jala le, Dil ka diya jala le
Likh to di thi kitab usne apni
Take duniya ko us se bacha le
Phir bhi ek shai ki ab bhi kami thi
Kar den quran ko kiske hawale
Rahen bhatakne wale sun la ilah ke ujale
Dil ka diya jala le, Dil ka diya jala le
Usne bheja apne nabi (saw) ko
Andheron se sab ko nikale
Na thi taqat zameen asmaan ki
Ke amanat ko teri utha le
Rahen bhatakne wale sun la ilah ke ujale
Dil ka diya jala le, Dil ka diya jala le
Phir mohabbat ka jab naam aya
Jisne seene me quran uthaya
Jisne quran ko furqan banaya
Bari tala ne jab yeh farmaya
Wama arsalnaka illa rehmatallil alameen
La tu imaan Rasool-e-ameen par
Noor-e-risalat aur haq ke mubeen par
Door hoga isi se andhera
Phir jo chahe tu rahmat likha le
Rahen bhatakne wale sun la ilah ke ujale
Dil ka diya jala le, Dil ka diya jala le
Tu jhuka le apni jabeen ko
Maan le tu rasool-e-ameen ko
Bakhsh denge khatayen teri
Dono alam usi ke hawale
Rahen bhatakne wale sun la ilah ke ujale
Dil ka diya jala le, Dil ka diya jala le
Kyun na bheje darood us nabi par
Haris-ur-rauf-ur-raheem par
Kya ye zarrah likhe shan uski
Jis pe bheje salam khud khudai
Innallaha wa malaikatahu yu salluna Nabi
Ya ayyuhal lazina amanu
Sallu alaihi wasallam taslima