Kamal Ye Hai | M Atiq Ur Rehman

Kamal Ye Hai | M Atiq Ur Rehman

Kamal Ye Hai | M Atiq Ur Rehman
: :

Kamal ye hai
Kamal ye hai

khazan ki rut mein gulab lahja
bana ke rakhna kamal ye hai
Hawa ki zid pe diya jalana
Jala ke rakhna kamal ye hai

Zara si laghzish pe tod dete hain
Sab t’aluq zamane wale
So aise waison se bhi t’aluq
Banake rakhna kamal ye hai

khazan ki rut mein gulab lahja
bana ke rakhna kamal ye hai
Hawa ki zid pe diya jalana
Jala ke rakhna kamal ye hai

Kamal ye hai
Kamal ye hai

Kisi ko dena mashwara ke
Wo dukh bichhadne ka bhool jaye
Aur aise lamhe mein apne aansu
Chhupa ke rakhna kamal ye hai

khazan ki rut mein gulab lahja
bana ke rakhna kamal ye hai
Hawa ki zid pe diya jalana
Jala ke rakhna kamal ye hai

Kamal ye hai
Kamal ye hai

Khayal apna mijaz apna
Pasand apni kamal kya hai
Jo moula chahe wo haal apna
Bana ke rakhna kamal ye hai

khazan ki rut mein gulab lahja
bana ke rakhna kamal ye hai
Hawa ki zid pe diya jalana
Jala ke rakhna kamal ye hai

Kamal ye hai
Kamal ye hai

Kisi ki raah se khuda ki khatir
Utha ke kante hata ke patthhar
Phir iske aage nigah apni
Jhuka ke rakhna kamal ye hai

khazan ki rut mein gulab lahja
bana ke rakhna kamal ye hai
Hawa ki zid pe diya jalana
Jala ke rakhna kamal ye hai

Kamal ye hai
Kamal ye hai

Wo jisko dekhe to dukh ka lashkar
Bhi ladkhadaye shikast khaye
Labon pe apne wo muskurahat
Saja ke rakhna kamal ye hai

khazan ki rut mein gulab lahja
bana ke rakhna kamal ye hai
Hawa ki zid pe diya jalana
Jala ke rakhna kamal ye hai

Kamal ye hai
Kamal ye hai

Hazar taqat ho so dalilen
Hon phir bhi lahje mein ajizi se
Adab ki lazzat dua ki khushbu
Basa ke rakhna kamal ye hai

khazan ki rut mein gulab lahja
bana ke rakhna kamal ye hai
Hawa ki zid pe diya jalana
Jala ke rakhna kamal ye hai

Kamal ye hai
Kamal ye hai