Fatima Ki Tarah | Nisar Ahmed Marfani
Fatima Ki Tarah | Nisar Ahmed Marfani
Ho Arab ki zameen ya ajam ki zameen
Koi aya nahin Fatima (ra) ki tarah
Kah rahe hain Ali (ra) zindagi me koi
Dil ko bhaya nahin Fatima ki tarah
Jan qurban kyun na ho Sarkar (saw) ki
Apni pyari si beti ki muskan par
Chehra-e-Mustafa (saw) ko koi dekh kar
Muskuraya nahin Fatima (ra) ki tarah
Ho Arab ki zameen ya ajam ki zameen
Koi aya nahin Fatima (ra) ki tarah
Kah rahe hain Ali (ra) zindagi me koi
Dil ko bhaya nahin Fatima ki tarah
Sayyadah Tahira aur Zohra Batul
Kitne dilkash tumhari ye alqaab hain
Abroo ki bulandi ka ye martaba
Kisi ne paya nahin Fatima (ra) ki tarah
Ho Arab ki zameen ya ajam ki zameen
Koi aya nahin Fatima (ra) ki tarah
Kah rahe hain Ali (ra) zindagi me koi
Dil ko bhaya nahin Fatima ki tarah
Jan qurban ki apne aulad ki
Haq ada kar diya deen-e-islam ka
Karbala me faraz phir kisi ne kabhi
Ghar lutaya nahin Fatima (ra) ki tarah
Ho Arab ki zameen ya ajam ki zameen
Koi aya nahin Fatima (ra) ki tarah
Kah rahe hain Ali (ra) zindagi me koi
Dil ko bhaya nahin Fatima ki tarah