Zahe Muqaddar Huzoor-e-Haq Se | Qari Waheed Zafar Qasmi
Zahe Muqaddar Huzoor-e-Haq Se | Qari Waheed Zafar Qasmi
Zahe muqaddar huzoor-e-haq se salaam aaya payam
aaya
Jhukao nazren bichhao palken adab ka aala maqam aaya
Ye kaun sar se kafan lapete chala hai ulfat ke raste per
Farishte hairat se tak rahe hain yeh kon zee ehteram aaya
Fiza me labbaik ki sadayen, za farsh ta arsh goonjti hain
Har ek qurban ho raha hai zaban pe ye kis ka naam aaya
Yeh rah-e-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam per
Pahunchna dar per to kehna aaqa salam lijiye ghulam aaya
Ye kehna, aaqa bahot se ashiq tadapte se chhor aaya hun main
Bulawe ke muntazir hain lekin na subah aaya na shaam aaya
Dua jo nikli thi dil se akhir palat ke maqbool ho ke aayi
Wo jazba jis me tadap thi sachchi wo jazba aakhir ko kaam aaya
Khuda tera hafiz-o-nigehban O rah-e-batha ke jane wale
Nabi de sad in bisat ban kar, payam-e-darood salaam aaya
Zahe muqaddar huzoor-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazren bichhao palken adab ka aala maqam aaya