Ya Rab Mere Dil Ko | Mufti Kausar Roohani

Ya Rab Mere Dil Ko | Mufti Kausar Roohani

Ya Rab Mere Dil Ko | Mufti Kausar Roohani
: :

Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin
Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin

Ya Allah, ya Allah
Ya Allah, ya Allah

Ya rab mere dil ko
Makan-e-habib-e-khuda kar de

Aur mera tan man sab
Unhin pe fida kar de

Ya rab mere dil ko
Makan-e-habib-e-khuda kar de

‘Amal karun main unki
Har har sunnat pe dil-o-jaan se

Fazal kare tu mujh pe
Tu apni raheemi kareemi shan se

Jhuke faqat jo tere aage
Wo sar ‘ata kar de

Ya rab mere dil ko
Makan-e-habib-e-khuda kar de

Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin
Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin

Shirk-o-bid’at se
Mujhko bacha le apna khas bana le

Dil duniya se chhura de maula
Apne paas bula le

Khatam na ho jo kabhi bhi aisa
Qurb ‘ata kar de

Ya rab mere dil ko
Makan-e-habib-e-khuda kar de

Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin
Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin

Dil ki tamanna roza-e-athar
Ki jali ko choomun

Koocha koocha shahar-e-madina
Ki wadi me ghoomun

Noor ki barish se maula
Mera seena bhar de

Ya rab mere dil ko
Makan-e-habib-e-khuda kar de

Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin
Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin

Main t’areef karun kya
Jinka khud madah khuda hai

Main hun fida maa baap fida
Meri aulad fida hai

Na shaista qalam me
Khud hi asar paida kar de

Ya rab mere dil ko
Makan-e-habib-e-khuda kar de

Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin
Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin

Roz-e-jaza bazu-e-shafa’at
Jab Aaqa pherenge

Khushi se sare mujrim-o-aasi
Jhoomenge lahrenge

Zalim Kausar ke sar par bhi
Hath zara kar de

Zalim Sajid ke sar par bhi
Hath zara kar de

Ya rab mere dil ko
Makan-e-habib-e-khuda kar de

Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin
Allah humma salle ‘ala sayyedna mohammadin