Hara Gumbad Jo Dekhoge | Hafiz Kamran Qadri

Hara Gumbad Jo Dekhoge | Hafiz Kamran Qadri

Hara Gumbad Jo Dekhoge | Hafiz Kamran Qadri
: :

Sallallahu alaihi wasallam
Sallallahu alaihi wasallam
Taiba taiba taiba taiba taiba

Pyare Aaqa (saw) ka farman ke
Jisne Mere rauza-e-anwer ki ziyarat ki
Us par meri shafa’at wajib hai

Kitne khushnaseeb hain wo log
Jo madeene sharif jate hain
Jab main madene gaya

Jab maine rauza-e-mubarak ki ziyarat ki
Jab maine wo gumbad dekha to
Maine chaha to iski khubsoorti

Kaise bayan ki jaye aaiye main
Aap ko batata hun ki iski khubsoorti
Kaisi hai zaroor suniyega

Allah tabarak wa ta’ala hame
Bhi har saal apna aur apne mahboob ka
Paak dar dekhne ki taufeeq ‘ata farmaye (Aameen)

Hara gumbad jo dekhoge
Zamana bhool jaaoge

Agar taiba ko jaaoge
To aana bhool jaaoge

Ya Musatafa (saw) khudara
Do izn-e-hazri ka

Karlun nazara aa kar main
Aap ki gali ka

Ek baar phir dikhado aaqa mujhe madina
Beshak banalo aaqa mehman do ghadi ka

Rauze ko dekhne ko ankhen hi mustarib thin
Dil bhi hua rawana sarkar ki gali me

Agar taiba ko jaaoge to aana bhool jaaoge
Hara gumbad jo dekhoge zamana bhool jaaoge

Na itaro zyada chand taron apni rangat par
Jab husn tha unka jalwa numa
Anwar ka aalam kya hoga

Har koi fida hai bin dekhe
Deedar ka aalam kya hoga

Ek simt Ali (ra) ek simt Umar (ra)
Ali Ali Ali Ali Ali

Ek simt Ali (ra) ek simt Umar (ra)
Siddiq (ra) idhar Usman (ra) udhar

In jagmag jagmag taron me
Mahtab ka aalam kya hoga

Chahen to ishare se apni
Kaya hi palat den duniya ki

Ye shan hai unke ghulamo ki
Sardar ka aalam kya hoga

Khelte then chand se
Bachpan me aaqa isliye

Ye sarapa noor aur wo
Hai khilona noor ka

Na itaro ziyadah chand taron apni rangat par
Mere aaqa ko dekhoge chamakna bhool jaaoge

Hara gumbad jo dekhoge zamana bhool jaaoge
Agar tum ghaur se mere Nabi ki naat sun loge

Mera dawa hai tum gana bajana bhool jaaoge
Hara gumbad jo dekhoge zamana bhool jaaoge

Hadees-e-Mustafa par tum
Jo ho jaao amal paira

Mere sir di thandhi chhaan
Neri jannat meri maa

Maa da saakh jahano wakhna
Keh gaye log sayaden

Maa da rutba ki hai yaaro
Sodan Allah jane

Hadees-e-Mustafa par tum
Jo ho jaao amal paira

Qasam Allah ki maa ko satana bhool jaaoge
Hara gumbad jo dekhoge zamana bhool jaaoge

Madine ka kabootar hun
Pakad sakte nahin mujhko

Agar goli chalaoge nishana bhool jaaoge
Hara gumbad jo dekhoge zamana bhool jaaoge