Phala Phoola Wafaon Me | Hafiz Athar Jalali

Phala Phoola Wafaon Me | Hafiz Athar Jalali

Phala Phoola Wafaon Me | Hafiz Athar Jalali
: :

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae ‘Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Tera masoom sa lahja
Teri ghairat bhari baten

Hame sab yaad hai tune
Jahan par jo ada kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae ‘Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Tere chhote bhai ne
Sunai nazm jab teri

Hame madhosh kar chhora
Jab usne aah aah kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae ‘Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Suno dukhda jo da’ee ka
Kabhi Ahmed Umar se bhi

Tadap ke waqt se pahle
Qayamat hi barpa kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae ‘Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Tujhe kul zindagi baaees
Salon ki mili phir bhi

Huye quran ke hafiz
Sanad raaten jaga kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae ‘Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Teri ammi teri bahnen
Ghamon se sahmi baithin hain

Bilakhte hi subah kar li
Tadapte hi masah kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae ‘Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Tera bachpan misali tha
Ladakpan bhi misali tha

Jawani thi shagufta phool
Jo rab ne dikha kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae ‘Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Tera dada tere gham me
Jigar ko bandhe rakhta hai

Shahadat sun ke thandhi aahen
Dil nazren saba kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Bane ‘Aalim kiya umra
Tu karb-o-ghah me baith kar li

Ye manzil akhri thi jo
Shahadat se saja kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li

Main Albazi tamanna itni
Rakhta hun faqat tujh se

Kisi di khwab me keh do
Shafa’at ab ziya kar li

Phala phoola wafaon me
To rab se bhi wafa kar li

Ae Abdullah tune haq pe
Jaan apni fida kar li