Ya Rab Meri Soyi Hui | Farhan Ali Qadri
Ya Rab Meri Soyi Hui | Farhan Ali Qadri
Ya Rab meri soyi hui taqdeer jaga de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Sunne ki jo quwwat mujhe bakhsi hai khudawand
Phir masjid-e-nabwi ki azaane bhi suna de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Ya Rab meri soyi hui taqdeer jaga de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Hooron ki na gulmarg ki na jannat ki talab hai
Madfan mera sarkar ki basti me bana de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Ya Rab meri soyi hui taqdeer jaga de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Muddat se mai in haathon se karta hoon duaayen
In haathon me ab jali sunahri wo thama de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Ya Rab meri soyi hui taqdeer jaga de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Muh hashr me mujhko na chupaana pare ya Rab
Mujh ko tere mahboob ki chadar me chhupa de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Ya Rab meri soyi hui taqdeer jaga de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dikha de
Ishrat ko bhi ab khushbu-e-Hassaan aata kar
Jo lafz kahe hain unhen tu naat bana de
Aankhen mujhe di hain to madina bhi dekha de