Hazaron Shadiyan Qurban | Anas Younus

Hazaron Shadiyan Qurban | Anas Younus

Hazaron Shadiyan Qurban | Anas Younus
: :

Hazaron shadiyan qurban
Uski ek shadi par

Kiya qurban jisne apna
Sab kuchh apne haadi par

Abhi jee bhar ke bhi baithen
Na then dulhan ki mahfil me

Abhi kya kya umangen mojzan,
Thi naujawan dil me

Ke is asna me ek kone se
Awaz-e-bilal aayi

Garajti goonjti ek zor ki
Wo zuljalal aayi

Nabi ki jaan khatre me hai
Tu ab sochta kya hai

Khuda jane ke maidan-e-shahadat
Me hua kya hai

Kaha, “dulhan mera tujh se
Juda hone ka waqt aya”

Mere pyare nabi per ab
Fida hone ka waqt aya

Bade hi sabr se goya
Huyi sharm-o-Haya wali

Tera sachha khuda hami
Tera sachha nabi wali

Kahan dhundhungi main tujh
Ko hazaron hi shaheedon me

Hazaron aur lakhon aur
Bahuto khush naseebon me

Girebaan phaad kar bole
Mera kurta yahi hoga

Darida jiska daman ho
Tera dulha wohi hoga

Bahut dekhe shaheed hamne
Shaheed aisa nahi dekha

Bahadur aur ghazi,
Hanzala (r.a) jaisa nahi dekha

Hazaron shadiyan qurban
Uski ek shadi par

Kiya qurban jisne apna
Sab kuchh apne haadi par