Hasbi Rabbi | Hafiz Bilal Qadri

Hasbi Rabbi | Hafiz Bilal Qadri

Hasbi Rabbi | Hafiz Bilal Qadri
: :

La ilaha illallah
La ilaha illallah
La ilaha illallah

Zikr aman hai zikr hai fatah
Zikr shifa hai zikr hai dawa

Najat milti hai usko yaqeenan
Kare jo qalb se zikr-ul-Allah
Zikr se badh kar nahin hai amal koi
Hai farman-e-Rasoolallah (saw)
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi gairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Tere sadqe me Aaqa
Sare jahan ko deen mila
Be-deenon ne kalmah padha
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi gairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Simt-e-Nabi Abu Jehal gaya
Aaqa se usne ye kaha
Gar ho Nabi batlaao zara
Meri mutthi me hai kya

Aaqa ka farman hua
Aur fazl-e-Subhan hua
Mutthi se patthar bola
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi gairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Apni bahan se bole Umar (ra)
Ye to bata kya karti thi
Mere aane se pahle
Chupke chupke kya padhti thi

Bahan ne jab quran padha
Sun ke kalam-e-paak khuda
Dil ye Umar (ra) ka bol utha
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi gairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Wo jo Bilal e Habshi hai
Sarwar-e-deen ka pyara hai
Duniya ke har ashiq ki
Ankhon ka wo tara hai

Zulm hue kitne unpar
Seene par rakha patthar
Phir bhi lab par jari tha
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi gairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Mere maula mere khuda
Tu hi khaliq arz-o-sama
Tu hi malik roz-e-jaza
Main hun sarapa jurm-o-khata

Phir bhi tujhse hai ye dua
Waqt-e-naza jab aaye mera
Lab pe ho bas ek sada
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi gairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah