Kisi Ghum Gussar Ki Mehnaton Ka | Fahad Shah
Kisi Ghum Gussar Ki Mehnaton Ka | Fahad Shah
Kisi ghum gussar ki mehnaton ka
Yeh khoob maine sila diya
Ke jo mere ghum me ghula gaya
Use maine dil se bhula diya
Jo jamal-e-rooh-e-hayat tha
Jo daleel-e-rah-e-nijaat tha
Usi raahbar ke Nuqoosh-e-Paa,
Ko musafiron ne bhula diya
Ke jo mere ghum me ghula gaya
Use maine dil se bhula diya
Ye meri aqeedaten be-basar,
Ye meri ibaadaten be-samar,
Mujhe mere daawa-e-ishq ne
Na sanam diya na khuda diya
Ke jo mere ghum me ghula gaya
Use maine dil se bhula diya
Tere husn-e-khulq ki ek ramaq,
Meri zindagi me na mil saki
Mai isi me khush hun ke shehar ke
dar-o-baam ko to saja diya
Ke jo mere ghum me ghula gaya
Use maine dil se bhula diya
Main tere mazaar ki jaaliyon hi ki
Midhaton me magan raha
Tere dushmanon ne tere chaman me
Khazaan ka jaal bichha diya
Kisi ghum gussar ki mehnaton ka
Yeh khoob maine sila diya
Tera Naqsh-e-Paa the jo rahnuma
To ghubar-e-Rah thi kahkashan,
Use kho diya to zamane bhar ne
Hame nazar se gira diya
Ke jo mere ghum me ghula gaya
Use maine dil se bhula diya
Mere rahnuma tera shukriya
Karun kis zuban se bhala adaa
Meri zindagi ki andheri shab me
Charag-e-fiqr jala diya
Ke jo mere ghum me pighal gaya
Use maine dil se bhula diya
Kabhi aye anaayat-e-kam nazar
Tere dil me yeh bhi kasak hui
Jo tabassum-e-rukh-e-zeest tha
Use tere gham ne rula diya
Kisi ghum gussar ki mehnaton ka
Yeh khoob maine sila diya
Ke jo mere ghum me ghula gaya
Use maine dil se bhula diya