Kaaba Dikha De Maula | Maulana Abrar
Kaaba Dikha De Maula | Maulana Abrar
Kabhi gird kaabe ke main bhi to ghoomun
Kabhi sangaswad ka bosa ata ho
Kabhi main bhi kaabe ki chadar ko choomun
Ke marne se pahle khatam har khata ho
Mujhe bhi dikha de khudaya haram wo
Tamanna mere rab ye poori tu kar de
Barasti hai rahmat ki barish jahan
Isi justuju me hun jeeta yahan
Kabhi gird kaabe ke main bhi to ghoomun
Kabhi sangaswad ka bosa ata ho
Kabhi main bhi kaabe ki chadar ko choomun
Ke marne se pahle khatam har khata ho
Main aksar hi yadon me kaabe ko pahuncha
Kai hoke aaye hain dekho wahan se
Ke kitna hun tadpa main kitna hun roya
Ke main sirf ja hi na paya yahan se
Kabhi gird kaabe ke main bhi to ghoomun
Kabhi sangaswad ka bosa ata ho
Kabhi main bhi kaabe ki chadar ko choomun
Ke marne se pahle khatam har khata ho
Hai bechain maula ye dil mera kitna
Ziyarat haram ki hai kitnon ne kar li
Karun kaise main wo labon se bayan
Teri ab nigahen karam ho yahan
Kabhi gird kaabe ke main bhi to ghoomun
Kabhi sangaswad ka bosa ata ho
Kabhi main bhi kaabe ki chadar ko choomun
Ke marne se pahle khatam har khata ho
Kai log jate hain aise haram ko
Suna hai wahan par ke haj ho raha hai
Ke jaise haram ho kuchh hi qadam ko
Ye parwana sun kar yahan ro raha hai
Kabhi gird kaabe ke main bhi to ghoomun
Kabhi sangaswad ka bosa ata ho
Kabhi main bhi kaabe ki chadar ko choomun
Ke marne se pahle khatam har khata ho
Bada khoob unka muqaddar hai maula
Bula le khudaya ise bhi haram me
Ye auqat waisi hai meri kahan
Lagi aag dil ki bujha de wahan
Kabhi gird kaabe ke main bhi to ghoomun
Kabhi sangaswad ka bosa ata ho
Kabhi main bhi kaabe ki chadar ko choomun
Ke marne se pahle khatam har khata ho