Na Tera Khuda Koi Aur Hai | Najam Sheraz

Na Tera Khuda Koi Aur Hai | Najam Sheraz

Na Tera Khuda Koi Aur Hai | Najam Sheraz
: :

Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai

Ye jo raste hain juda juda
Ye mamla koi aur hai

Kyun nahin dekhta is jahan me
Har shae la-mahdood hai

Jab uthi nigah to jhuk gayi
Ye mamla kuch aur hai
Allah Allah Allah

Ye pahad darakht our kaaynat
Sab jhuke hue hain sujood me

Na tu ban saka na bana saka
Wo na phir bhi tujh se juda hua

Ye sab usi ke hain faisle
Tu jaan kar bhi anjan hai

Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai

Ye jo raste hain juda juda
Ye mamla koi aur hai

Kyun shirk me hai tu phasa hua
Kyun noor se tu door hai
Allah Allah Allah

Kyun ghoomta hai yahan wahan
Nahin illah koi aur hai

Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai

Ye jo raste hain juda juda
Ye mamla koi aur hai

Jise dhoondhta hai yahan wahan
Dil me tere maujood hai
Allah Allah Allah

Jise mil gaya ek bar wo
Usi dil be-asr-e-sujood hai

Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai

Ye jo raste hain juda juda
Ye mamla koi aur hai

Jo padha diya insan ko
Rahman hai Raheem hai
Allah Allah Allah

Jab paas thi to kitab thi
Padha diya to quran hai

Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai

Ye jo raste hain juda juda
Ye mamla koi aur hai

Phir ibadaton ke hain silsile
Phir kurbato ke wo daur hain
Allah Allah Allah

Jo na jhuk saka wo na pa saka
Yehi silsila har daur hai

Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai

Ye jo raste hain juda juda
Ye mamla koi aur hai

Tu kyun poojta hai insan ko
Allah hi to maabood hai
Allah Allah Allah

Phir kyun hai tu ghurur me
Jo na jhuk saka wo firon hai

Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai

Ye jo raste hain juda juda
Ye mamla koi aur hai

Ek bar tu phir soch le
Wohi rabb-e-arsh-e-kareem hai
Allah Allah Allah

Jo na jhuk saka wo mit gaya
Yehi silsila har daur hai

Na tera khuda koi aur hai
Na mera khuda koi aur hai

Ye jo raste hain juda juda
Ye mamla koi aur hai

Ya rab mujhe tu baksh de
Banda to gunahgaar hai

Is aas par pada hun mai
Sajde me rabb-e-kareem ke

Jo mai gir gaya tha muqam se
Tu to rabbe-aali-muqam hai
Allah Allah Allah
Rababna maghfirlana, Rababna maghfirlana