Likha Hai Ek Zaifa Thi | Hafiz Muhammad Tahir Qadri

Likha Hai Ek Zaifa Thi | Hafiz Muhammad Tahir Qadri

Likha Hai Ek Zaifa Thi | Hafiz Muhammad Tahir Qadri
: :

Likha hai ek zaifa thi Ke jo mekkah me rahti thi
Wo in baton ko sunti thi magar khamosh rahti thi
Wo sunti thi Muhammad hai koi hashim gharane me
Wo kahta hai khuda bas ek hai sare zamane me

Wo sunti thi hubul ki laat ki tazleel karta hai
Wo apne haq ke farmane ki yun tameel karta hai
Wo sunti thi jo uske saath hai wo hai ghulam uska
Musalman ho hi jata hai jo sunta hai kalaam uska

Likha hai wo zaifa ek din kaaba me jaa pahunchi
Hubul ke paaon par sar rakh ke usne ye dua mangi
Main tujh ko poojti hun aur khuda bhi tujh ko kahti hun
Bara afsos hai jo aaj kal main ranj sahti hun
Wo gham ye hai muhammad hai koi hashim gharane me
Wo kahta hai khuda bas ek hai saare zamane me
Mita do uski hasti ko na le phir koi naam uska
Jigar chhalni hua jata hai sun sun kar kalam uska

Dua karke uthi sajde se aur wo apne ghar ayi
Samajhti thi ye dil me ab meri ummeed bhar ayi
Zaifa ko khushi thi ab hubul bijli gira dega
Muhammad to muhammad saathiyon ko bhi mita dega

Magar kuchh din guzarne per na jab ummeed bhar ayi
Dua karke hubul se apne dil me khoob pachhtayi
Garaz tarqeeb usne soch lee ye khud hi ghar aa kar
Ke chhorungi ye basti mai rahungi aur kahin ja kar

Garaz ek din subah ko usne apni ek gathri lee
Nikal kar ghar se apne aur darwaze pe aa baithi
Zaifa sochti thi ab koi mazdoor milta hai
Use yeh kya khaber thi ek khuda ka noor milta hai

Fareeza subah ka karke ada sarkar do aalam
Chale jaate the kaaba ki taraf wo rahmat-e-alam
Jalon me aap ke shams-o-qamar maloom hote the
paye tasleem sajde me shajar maloom hote the

Zaifa muntazir mazdoor ki baithi thi ghabrayi
Yakayak samne se chaand si surat nazar ayi
Zaifa ne kaha beta yahan aana bata kya naam hai tera
Kaha mazdoor hoon amma bata kya kaam hai tera
Kaha mazdoor hai agar tu to chal gathri meri lekar
Main khush kar dungi aye mazdoor mazdoori teri dekar
Ye sun kar aapne gathri utha kar apne sar par li
Zaifon ki madad karna ye aadat thi payamber ki

Garaz gathri ko lekar manzil-e-maqsood par ayi
Kaha dil se ke aye dil ab teri ummed bhar aayi
Kaha beta jo dil me tamanna ho gayi puri
Muhammad to Muhammad sathiyon se ho gayi doori

Lagi dene jo mazdoori zaifa aap ko us dam
To farmane lage us dam huzur-e-sarwar-e-aalam
Ye koi kaam hai amma mai lun ab jiski mazdoori
Koi agar our khidmat ho to wo bhi main karun poori

Ye farmate huye ki aapne jane ke tayyari
Zaifa se ijazat chahate then rahmat-e-baari Zaifa ne kaha beta zara thahro chale jaana
Mujhe ek baat kahni hai zara sun kar chale jaana

Yaqeen jaano ki ab mekkah me jhagra hone wala hai
Main samjhati hun tujh ko isliye tu bhola bhala hai
Wo makke me qabeela hashmi naam-o-laqab wale
Wohi beta jo hain sardar Abdul Muttalib wale

Unhi me ek jawan hai jo suna jaata hai saahir hai
Ke is fan me magar beta wo apne khoob mahir hai
Wo asar hota hai jiske dil tukhm-e-ulfat bo ke rahta hai
Jo sunta hai kalam uska wo uska hoke rahta hai

Hamesha bach ke chalna usse bole koi naam uska
Naseehat hai yehi meri na sunna tu kalam uska
Nabi budhiya ke dil me noor-e-wahdat bharne wale then
Naseehat sun rahe then jo naseehat karne wale then

Zaifa ne kaha, ‘beta bhala kya naam hai tera’
Tera aaghaz kya hai aur kya anjaam hai tera
Kaha hazrat ne budhiya se, ‘tujhe kya naam batlaun’
Main kya kaam batlaun, main kya anjaam batlaaun

Main banda hun khuda ka aur mujassam noor-e-zad hoon
Kaha gardan jhuka kar aapne, ‘mai hi Muhammed hun’
Main hoon maasoom duniya me mera dushman zamana hai
Khuda waahid hai aalam me mujhe bas ye batana hai

Ye sunna tha ke bas aakhon se aansu ho gaye jaari
Nabi ke ishq ki ek chot si dil per lagi kaari
Zaifa ne kaha beta karo mushkil meri aasan
Mai aisi jeet ke sadqe me aisi haar ke qurban

Hua phir haal par uske jo fazle eezan-e-baari
Zaifa ke zubaan se khud ba khud kalma hua jari
LAAILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASULULAH
SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM